Maine poocha Padosi ko kya meet par aaoge
Padosi ne kaha haan haan
Zaroor aaonga yeh batao aur kisko bulaoo
Maine kaha ek Dp chhapo
Padosi ne DP chhapi
Aur usmein chhaape naam
Aur tai kiya hua mukaam
Meet ke din pahunche sabse pehle Mala aur Tiya
Phir Mala ne kiya mujhko fone
Tanna batao tum kahan ho
Maine kaha yehi hoon, aati hoon bas
Main udkar pahunch gayi Mala ke paas
Mala aur Tiya se milkar baton mein magan hui
Pata nahin Tiya kab jaakar mere liye Icecream layi
Main icecream kha rahi thi usi waqt aaya Padosi ka fone
Tum chupi ho kahan hum dhoondh rahe hain yahan wahan
Maine Mala se kaha main laati hoon un maharathiyon ko
Maine duur se hi pechaan liya Harry, Ketan aur Fenil ko
Hello hi hello hi karte karte sambhali apni kursiyaan
Phir kisme itna dum tha humko bolne se rokta
Shuru hui hamari chapad chapad
Phir ek fone aaya
Dobara wahi prashna dohraya gaya
Maine aas paas nazar daudayi
Dekha koi ghabraye huae sharmaye huae
koi kisi ko dhoondh raha hain
achanak uske kaano mein meri awaaz pahunchi
kisi ki nigahe upar uthi, koi ek pal ruka
mujhe laga ab who wapas jaane ko palta
aakhir usko hamari kashish kheench layi
hamari mehfil mein nayi roshni aayi
baithe gupshup karte lagi achanak garmi
ui ui karte humne jagah badly
thodi iski tareef thodi uski burayi
kardi humne sabki tabiyat saaf
kuch ko apne shor se duur bhagaya
maine dekhi ghadi ki suiyaan
joh apni tez rafter se thi daud
maine kaha ab mujhe kaho alvida
mujhe jaana hain kayi flyover ke paar
kisi ne ek na meri chalne di
bada sa lalach dekar chup baitha diya
Kuch pal beetein phir hui fone mein hulchul
Who aa hi gaye jiska tha intezaar har pal
Akash aur Nidhika ki Nanhi si pari (Archisha)
Ki muskaan ne moh liya har kisi ka dil
Ek baar phir shura hua milne milane ka daur
Hui aur kuch gupshup, meri nigah gayi ghadi par chhup chhup
Phir jaanewaale ko kaun rok sakta hain
Mere alvida kehne se ek baar phir hui hulchul
Sab karne lage apne daanton ki numaish
Ek bijli jhapki aur hum ko qaid kar gayi
Sab se milne milane ka silsila hua
Phir dobara milne ka waada hua
Phir yaad dilaya ki meri Icecream ab bhi udhaar hain
Sabki zimmedaari Padosi ke kandhe par rakhkar hui rukhsat
Aage ka haal doosre friends ki DP mein padhe. I had to leave the Meet halfway due to something unavoidable. All of them were good sports and will surely meet them again. Earlier I had met only Akash and Nidhi, I met the rest of them for the first time but I don’t think that anyone of us felt that we were meeting for the first time. A big Thank you to all those who could attend and to Raj for calling us. Hoping to meet more friends in next meet.