Naa Poocho ke yeh zakhm humne kahaan khaaye hain
Humne to kuch doston ko sirf marham lagaaye hain
Dil walon ki duniya mein, humne bhi dil lagaaye hain
tute hue tukadon ko ab tak na samet paaye hain
Jab bhi sunaaya humne apni barbaadi ka haal
doston ne jee bhar ke jashna manaaye hain
Dost aur dushman mein ab kya fark rakhna
yahaan har kisi ne chehron pe chehre lagaaye hain
Tum jo kehte ho Mohabbat hai ibaadat ka dusra naam
phir kyun tumne ibaadat-gaaho'n mein sirf patthar sajaaye hain
Raj
Reference words :-
zakhm - wound marham - Balm
mohabbat - Love
Ibaadat - to pray
Ibaadat-gaah - place to do prayers